Wednesday, February 11, 2009

Bharat ki beti...

agar aisa hai aapka vichaar,
To aazaad bharat ki beti,
kyun hain aaj bhi lachaar???
Janani hai jo sanskriti ki,
hai jo sabki sarjanhaar,
Use hi nahi mil pa raha
aaj janam lene ka adhikaar???
Dudh piti nahi to kya,
hai bhrun hatya ka vyabhichaar,
Kal ki mata ko aaj rond dena,
kahan ke yeh sanskaar???
Bharat ki beti ke tan par hi nahi,
ho raha ruh par bhi balatkaar,
Aur kehte ho unnati-sheel hain hum,
kaisa yeh vikaar???
Chand ko jeet liya jisne,
us bharat ki beti gayi hai haar,
Aaj bhi nahi hone de raha,
yeh samaj uske sapne sakaar???
Aankhon mein aanshu hai uske,
dil mein gam beshumaar,
Aur jagat kehta hai,
uske haalaat mein hai sudhaar???
Aaj bharat ki beti puch rahi,
batado is baat ka saar,
Na rahungi jab main,
kya chala paoge yeh sansaar???


0 comments :