Thursday, November 19, 2009

mere naam se jalta kyun hai!!!!

>>Hansi ki raah par chala karo,
>>Khushiyon ki mahak mein jiya karo;
>>Gar lage kabhi kucgh khaali khaali sa,
>>Bas khule dil se hamein yaad kar liya karo.!!!

>>Tut jaate hain bikhar jaate hain,
>>Kaanch ke ghar mein sundar sapne;
>>Ajnabi to sada pyaar se milte hain,
>>Bas bhul jaate hain hamein apne..!!!

>>Ye khuda teri mehfil mein ham,
>>ye fariyaad karte hai;
>>sada khush rakhna mere dost ko,
>>Jinke liye duaa ham din raat karte hai!!!


>>Mera neend se taalluk nahi barson se,
>>Fir khwaab mere chhat par aakar tahalta kyun hai;
>>Na jugnu hun, na deepk aur naa hi hun koi taara,
>>Fir ujaale wala mere naam se jalta kyun hai!!!!

0 comments :