Lovely poem- Waqt Nahi...
Har khushi hai logon ke daman mein,
Par ek hansi ke liye waqt nahi.
Par ek hansi ke liye waqt nahi.
Din raat daudti duniya mein,
Zindagi ke liye hi waqt nahi.
Zindagi ke liye hi waqt nahi.
Maa ki lori ka ehsaas to hai,
Par Maa ko Maa kahne ka waqt nahi.
Par Maa ko Maa kahne ka waqt nahi.
Saare rishton ko to hum maar chuke,
Ab unhein dafnane ka waqt nahi.
Ab unhein dafnane ka waqt nahi.
Saare naam mobile mein hain,
Par dosti ke liye waqt nahi.
Par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat karein,
Jab apnon ke liye hi waqt nahi.
Jab apnon ke liye hi waqt nahi.
Aankhon mein hai neend badi,
Par sone ka waqt nahi.
Par sone ka waqt nahi.
Dil hai gamon se bhara hua,
Par rone ka bhi waqt nahi.
Par rone ka bhi waqt nahi.
Paison ki daud mein aise daude,
Ki thakne ka bhi waqt nahi..
Ki thakne ka bhi waqt nahi..
Paraye ehsaason ki kya kadar karein,
Jab apne sapnon ke liye hi waqt nahi.
Jab apne sapnon ke liye hi waqt nahi.
Tu hi bata ae zindagi,
Is zindagi ka kya hoga,
Ki har pal marne valon ko jeena ka bhi waqt nahi.
Ki har pal marne valon ko jeena ka bhi waqt nahi.
Agar aapko achha lage to kuch alfaaz batana,
Warna phir aapke paas bhi waqt nahi...
Warna phir aapke paas bhi waqt nahi...
0 comments :
Post a Comment