Tuesday, November 17, 2009

Dosti...

Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi jee nahi sakte
Aye khuda aisi takdeer bana
Woh humse khud aakar kahe
"HUM AAPKE BINA REH NAHI SAKTE"
khuda ka shukar ke hume tumse milaya
mujhe zindagi men ek naya raasta dukhaya
usne asmaan se mere liye chand ko utara
mere jeewan ko chnadi raat bna dala
khatam na ho ye pal rehti hai lab par dua
mujhse mere chand se dost ko juda na kar ae khuda
uska har dukh mera dukh ho
uski har khushi meri khushi
uske dard ko hum gale laga len gen
uske har zakham ko apna bna len gen
wo bas muskurata rahe rehti hai lab par dua
mujhse mere chand se dost ko juda na kar ae khuda..

kabhi chand ban kar mila karo
kabhi phool ban kar hansa karo
mere dil mein bajte saaz ko
kabhi chupke chupke suna karo
mein hawa ban ke aounga
tum raaston mein raha karo
meri zindagi ke andheron mein
tum chiraag ban kar jala karo
meri subha mein meri shamo mein
mera ziker ban ke raha karo
Har baar apki salamati ki dua karenge,
teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,
tum chahe daman bachalo humse lekin....
Hum marte dum tak aapse wafa karenge



Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

0 comments :